(Written at age 16-17.)
ai hawa kyon bedardi saajan ki tarah
chhoo kar guzar jaati hai
aur us adhoore se tassawar mein
hosh-o-hawas bhulati hai
us ek lamhe ke deedar mein
laakhon yaadein le aati hai
humaari tanhaai ke aalam ko
geet banaakar gaati hai
woh saansein jinpe humari jaan qurban hai
khyaalon mein hi mehsoos karati hai
humari mohabbat jo woh samjhe nahi
uska mazaak tu udaati hai
hawa hi hai tu, ya hai sanam ki bewafaai
jo baar baar aake tadpati hai...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment