Thursday, October 16, 2008

(For Bugaboo)

(Written at age 20.)

ai humesha hansne waale
kabhi do boond aansoo girne de
zindagi ke husn pe kabhi
haqeeqat ka haath bhi phirne de

jab gire aankhon se aanso
yeh dekh kitne hain sametne vaale
jab aankhein kamzor hone lagein
dekh kitne nazar bhetne vaale

see not the weakness
but the strength in tears
for they stay not silent
but declare your fears

khaamosh si yeh os
tumhaare kaale patton par
kyon kare geela vaar
hum sookhe nihatthon par

poocho is paani se
kis nadi se aaya hai
kyon nadi ko akela chhod
tumhaari aankhon se lag aaya hai

apni kavita se baahar nikal
aur meri kavita me aake bas
khud ko dekh yahan se tu
ek nahin dil dikhenge dus

jise beemaari kehte ho tum
samjho woh kaisa hai ilaaj
jo socha na tha kal tak tumne
dekho woh socha hai aaj

No comments: