(Written at age 16-17.)
yeh toofan to dekho zara
sochta hai bhiga jaayega humein
koi bataye to isko ki humpe baras ke bhi
jala hua hi paayega humein
is kadar aag lagi thi ki apne paani se
koi sukoon, koi chain na la paayega humein
abr dikha kar, chuaakar,
bas aur jalaayega humein
humein chot aur namak tofaa mila hai
kya muh lekar manaayega humein?
keh do isse ummeed karna chhod de
ki ab khushiyaan laakar bhi sirf sataayega humein
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment