Thursday, October 16, 2008

Bahut Lambe Ho Rahe Hain

(Written at age 16-17.)

bahut lambe ho rahe hain din aaj kal
bas ek tanha akeli shaam de
unki yaadon ki ghaeraat mein
chal saqi ek to jaam de
is beymaani si duniya mein yeh bevajah si hayaat
koi to humein kuch to kaam de
kahin jahan bas khud par kaaboo rahe
koi humein aisa maqaam de
jaante nahi hum kya gunah kiya hai humne
par khuda tu yunhi humein auqaat-e-paashemaan de
chhod gaye jo bina palat kar dekhe
unhein ai hawa humara ek salaam de
jeete hain ab bhi unki yaadon ke sahaare
ai fiza unko yeh bhi zara payaam de
thake honge woh bahut ki bewafaai aasaan nahi
humein beshak bekaraari, unhein zaroor aaraam de
maana khaye hain zakhm bade unse,
par unhe na kabhi naam beyimaan de
pyar hua bhi to insaan nahi farishte se hua,
ab hum kaise farishte ko bewafa ka naam de
gustakhi humari ki zehen mein bhi laaye unka khyaal
ya allah humaari jalan ko kabhi na inteqaam de
kiya hai jurm sache pyar aur aitbaar ka,
ai naseeb tu phir mujhe bewafai ka hi inaam de

No comments: